bas ek baar kisi ne gale lagaayaa thaa
— Zafar Iqbal
Bas ek baar kisee ne gale lagaayaa thaa
Phir us ke baa'd na main thaa na meraa saayaa thaa
Galee men log bhee the mere us ke dushman log
Vo sab pe hanstaa huaa mere dil men aayaa thaa
Us ek dasht men sau shahr ho ga.e aabaad
Jahaan kisee ne kabhi kaarvaan luTaayaa thaa
Vo mujh se apna pataa poochhne ko aa nikle
Ki jin se main ne khud apna suraagh paayaa thaa
Mire vajood se gulzaar ho ke niklee hai
Vo aag jis ne tiraa pairahan jalaayaa thaa
Mujhee ko taana-e-ghaarat-garee na de pyaare
Ye naqsh main ne tire haath se miTaayaa thaa
Usee ne ruup badal kar jagaa diyaa aakhir
Jo zahr mujh pe kabhi niind ban ke chhaayaa thaa
'zafar' kee khaak men hai kis kee hasrat-e-taameer
Khayaal-o-khvaab men kis ne ye ghar banaayaa thaa
Bas ek bar kisi ne gale lagaya tha
Phir us ke ba'd na main tha na mera saya tha
Gali mein log bhi the mere us ke dushman log
Wo sab pe hansta hua mere dil mein aaya tha
Us ek dasht mein sau shahr ho gae aabaad
Jahan kisi ne kabhi karwan luTaya tha
Wo mujh se apna pata puchhne ko aa nikle
Ki jin se main ne KHud apna suragh paya tha
Mere wajud se gulzar ho ke nikli hai
Wo aag jis ne tera pairahan jalaya tha
Mujhi ko tana-e-ghaarat-gari na de pyare
Ye naqsh main ne tere hath se miTaya tha
Usi ne rup badal kar jaga diya aaKHir
Jo zahr mujh pe kabhi nind ban ke chhaya tha
'zafar' ki KHak mein hai kis ki hasrat-e-tamir
KHayal-o-KHwab mein kis ne ye ghar banaya tha