bijlii girii hai kal kisi ujde makaan par
— Zafar Iqbal
Bijlee giree hai kal kisee ujDe makaan par
Rone lagoon ki hans paDoon is daastaan par
Vo qahr thaa ki raat kaa patthar pighal paDaa
Kyaa aatisheen gulaab khilaa aasmaan par
Ik naqsh saa nikhartaa rahegaa nigaah men
Ik harf saa laraztaa rahegaa zabaan par
Apne liye hee aankh kaa parda hoon raat din
Main varna aashkaar hoon saare jahaan par
Sher aa ke chiir phaaD gaya mujh ko khvaab men
Dam-bhar ko meree aankh lagee thee machaan par
Pyaasee hai ruuh jism sharaabor hai to kya
Be-kaar menh barastaa raha saa.ebaan par
Piilee havaa men Khoon kaa zarra uDaa hee thaa
Paagal huaa ye shahr zaraa se nishaan par
Khaalee paDee hain bed kee beemaar kursiyaan
Khoon-khvaab dhoop-dhund barastee hai lawn par
Kis taaza maa'rke pe gaya aaj phir 'zafar'
Talvaar taaq men hai na ghoDaa hai thaan par
Bijli giri hai kal kisi ujDe makan par
Rone lagun ki hans paDun is dastan par
Wo qahr tha ki raat ka patthar pighal paDa
Kya aatishin gulab khila aasman par
Ek naqsh sa nikharta rahega nigah mein
Ek harf sa larazta rahega zaban par
Apne liye hi aankh ka parda hun raat din
Main warna aashkar hun sare jahan par
Sher aa ke chir phaD gaya mujh ko KHwab mein
Dam-bhar ko meri aankh lagi thi machan par
Pyasi hai ruh jism sharabor hai to kya
Be-kar meinh barasta raha saeban par
Pili hawa mein KHun ka zarra uDa hi tha
Pagal hua ye shahr zara se nishan par
KHali paDi hain bed ki bimar kursiyan
KHun-KHwab dhup-dhund barasti hai lawn par
Kis taza ma'rke pe gaya aaj phir 'zafar'
Talwar taq mein hai na ghoDa hai than par