chhupaa huaa jo numuudaar se nikal aayaa
— Zafar Iqbal
Chhupaa huaa jo numoodaar se nikal aayaa
Ye farq bhee tire inkaar se nikal aayaa
PalaT paDaa jo main sar phoD kar mohabbat men
To raasta isee deevaar se nikal aayaa
Mujhe khareednaa Kuch bhee na thaa isee khaatir
Main khud ko bech ke baazaar se nikal aayaa
Abhee to apne khanDar hee kee sair thee baaqee
Ye too kahaan mire aasaar se nikal aayaa
Bahut se aur tilismaat muntazir hain mire
Agar kabhi tire asraar se nikal aayaa
Mujhe bhee de rahe the khil.at-e-wafa lekin
Nazar bachaa ke main darbaar se nikal aayaa
Sire se jo kaheen maujood hee na thaa aakhir
Vo naqs bhee mire kirdaar se nikal aayaa
Na.ee fazaa na.e aafaaq hain usee ke liye
Jo aaj uDtee huee Daar se nikal aayaa
Usee ko ek ghaneemat qaraar doongaa 'zafar'
Jo ek sher bhee toomaar se nikal aayaa
Chhupa hua jo numudar se nikal aaya
Ye farq bhi tere inkar se nikal aaya
PalaT paDa jo main sar phoD kar mohabbat mein
To rasta isi diwar se nikal aaya
Mujhe KHaridna Kuch bhi na tha isi KHatir
Main KHud ko bech ke bazar se nikal aaya
Abhi to apne khanDar hi ki sair thi baqi
Ye tu kahan mere aasar se nikal aaya
Bahut se aur tilismat muntazir hain mere
Agar kabhi tere asrar se nikal aaya
Mujhe bhi de rahe the KHilat-e-wafa lekin
Nazar bacha ke main darbar se nikal aaya
Sire se jo kahin maujud hi na tha aaKHir
Wo naqs bhi mere kirdar se nikal aaya
Nai faza nae aafaq hain usi ke liye
Jo aaj uDti hui Dar se nikal aaya
Usi ko ek ghanimat qarar dunga 'zafar'
Jo ek sher bhi tumar se nikal aaya