hamen bhi matlab o maanii ki justujuu hai bahut
— Zafar Iqbal
Hamen bhee matlab-o-ma.anee kee justujoo hai bahut
Hareef-e-harf magar ab ke doo-ba-doo hai bahut
Vaqaar ghar kee tavaazo hee par nahin mauqoof
Ba-faiz-e-shaa.iree baahar bhee aabroo hai bahut
PhaTe puraane dilon kee khabar nahin letaa
Agarche jaantaa hai haajat-e-rafoo hai bahut
Badan kaa sara lahoo khinch ke aa gaya rukh par
Vo ek bosa hamen de ke surkh-roo hai bahut
Idhar udhar yuun hee munh maarte bhee hain lekin
Ye maante bhee hain dil se ki ham ko too hai bahut
Ab us kee diid mohabbat nahin zaroorat hai
Ki us se mil ke bichhaDne kee aarzoo hai bahut
Yahee hai be-sar-o-paa baat kahne kaa mauqa.a
Pataa chalegaa kise shor chaar-soo hai bahut
Ye haal hai to badan ko bachaa.iye kab tak
Sadaa men dhoop bahut hai lahoo men loo hai bahut
Yahee hai fikr kaheen maan hee na jaa.en 'zafar'
Hamaare mojaza-e-fan pe guftugoo hai bahut
Hamein bhi matlab-o-mani ki justuju hai bahut
Harif-e-harf magar ab ke du-ba-du hai bahut
Waqar ghar ki tawazo hi par nahin mauquf
Ba-faiz-e-shairi bahar bhi aabru hai bahut
PhaTe purane dilon ki KHabar nahin leta
Agarche jaanta hai hajat-e-rafu hai bahut
Badan ka sara lahu khinch ke aa gaya ruKH par
Wo ek bosa hamein de ke surKH-ru hai bahut
Idhar udhar yun hi munh marte bhi hain lekin
Ye mante bhi hain dil se ki hum ko tu hai bahut
Ab us ki did mohabbat nahin zarurat hai
Ki us se mil ke bichhaDne ki aarzu hai bahut
Yahi hai be-sar-o-pa baat kahne ka mauqa
Pata chalega kise shor chaar-su hai bahut
Ye haal hai to badan ko bachaiye kab tak
Sada mein dhup bahut hai lahu mein lu hai bahut
Yahi hai fikr kahin man hi na jaen 'zafar'
Hamare mojaza-e-fan pe guftugu hai bahut