ilzaam ek ye bhi uthaa lenaa chaahiye
— Zafar Iqbal
Ilzaam ek ye bhee uThaa lenaa chaahiye
Is shahr-e-be-amaan ko bachaa lenaa chaahiye
Ye zindagee kee aakhiree shab hee na ho kaheen
Jo so ga.e hain un ko jagaa lenaa chaahiye
Vo kis taraf chalaa hai lagaa.e koi suraagh
Main kis taraf ravaan hoon pataa lenaa chaahiye
Yaanee qimaar-e-ishq men kya Kuch hai daav par
Is raaz-e-vaa-shagaaf ko paa lenaa chaahiye
Kaisaa hai kaun ye to nazar aa sake kaheen
Parda ye darmiyaan se haTaa lenaa chaahiye
Dil par jo yaadgaar rahe us ke makr kee
Aisaa bhee koi naqsh banaa lenaa chaahiye
Is tarah bhee chalaa hai kabhi kaarobaar-e-shauq
RooThe koi to us ko manaa lenaa chaahiye
Keejiye na kyuun mutaalba-e-vasl ai 'zafar'
Kee hai wafa to is kaa sila lenaa chaahiye
Ilzam ek ye bhi uTha lena chahiye
Is shahr-e-be-aman ko bacha lena chahiye
Ye zindagi ki aaKHiri shab hi na ho kahin
Jo so gae hain un ko jaga lena chahiye
Wo kis taraf chala hai lagae koi suragh
Main kis taraf rawan hun pata lena chahiye
Yani qimar-e-ishq mein kya Kuch hai daw par
Is raaz-e-wa-shagaf ko pa lena chahiye
Kaisa hai kaun ye to nazar aa sake kahin
Parda ye darmiyan se haTa lena chahiye
Dil par jo yaadgar rahe us ke makr ki
Aisa bhi koi naqsh bana lena chahiye
Is tarah bhi chala hai kabhi karobar-e-shauq
RuThe koi to us ko mana lena chahiye
Kijiye na kyun mutalba-e-wasl ai 'zafar'
Ki hai wafa to is ka sila lena chahiye