jo banda e khuda thaa khuda hone vaalaa hai
— Zafar Iqbal
Jo banda-e-khuda thaa khuda hone vaalaa hai
Kyaa Kuch abhee to jalva-numaa hone vaalaa hai
Ye bhee durust hai ki payambar nahin hoon main
Hai ye bhee sach ki meraa kahaa hone vaalaa hai
Kuchh ashk-e-khoon bachaa ke bhee rakhiye ki shahr men
Jo ho chukaa hai us se sivaa hone vaalaa hai
Vo vaqt hai ki khalq pe har zulm-e-naa-ravaa
Allaah kaa naam le ke ravaa hone vaalaa hai
Ik khauf hai ki hone hee vaalaa hai jaa-guzeen
Ik khvaab hai ki sab se judaa hone vaalaa hai
Rang-e-havaa men hai ajab asraar saa koi
Koee bhee jaantaa nahin kya hone vaalaa hai
Khush thaa siyaah-khaana-e-dil men bahut lahoo
Is qaid se magar ye rihaa hone vaalaa hai
Ye tiir aakhiree hai bas us kee kamaan men
Aur wo bhee dekh lenaa khataa hone vaalaa hai
Ik lahar hai ki mujh men uchhalne ko hai 'zafar'
Ik lafz hai ki mujh se adaa hone vaalaa hai
Jo banda-e-KHuda tha KHuda hone wala hai
Kya Kuch abhi to jalwa-numa hone wala hai
Ye bhi durust hai ki payambar nahin hun main
Hai ye bhi sach ki mera kaha hone wala hai
Kuchh ashk-e-KHun bacha ke bhi rakhiye ki shahr mein
Jo ho chuka hai us se siwa hone wala hai
Wo waqt hai ki KHalq pe har zulm-e-na-rawa
Allah ka nam le ke rawa hone wala hai
Ek KHauf hai ki hone hi wala hai ja-guzin
Ek KHwab hai ki sab se juda hone wala hai
Rang-e-hawa mein hai ajab asrar sa koi
Koi bhi jaanta nahin kya hone wala hai
KHush tha siyah-KHana-e-dil mein bahut lahu
Is qaid se magar ye riha hone wala hai
Ye tir aaKHiri hai bas us ki kaman mein
Aur wo bhi dekh lena KHata hone wala hai
Ek lahar hai ki mujh mein uchhalne ko hai 'zafar'
Ek lafz hai ki mujh se ada hone wala hai