khaamushii Acchi nahin inkaar honaa chaahiye

Zafar Iqbal

Khaamushee achchhee nahin inkaar honaa chaahiye Ye tamaashaa ab sar-e-baazaar honaa chaahiye Khvaab kee taabeer par israar hai jin ko abhee Pahle un ko khvaab se bedaar honaa chaahiye Duub kar marnaa bhee usloob-e-mohabbat ho to ho Vo jo Dariya hai to us ko paar honaa chaahiye Ab vahee karne lage deedaar se aage kee baat Jo kabhi kahte the bas deedaar honaa chaahiye Baat puuree hai adhooree chaahiye ai jaan-e-jaan Kaam aasaan hai ise dushvaar honaa chaahiye Dostee ke naam par kiije na kyoonkar dushmanee Kuchh na Kuch aakhir tareeq-e-kaar honaa chaahiye JhuuT bolaa hai to qaa.em bhee raho us par 'zafar' Aadmee ko saahab-e-kirdaar honaa chaahiye KHamushi achchhi nahin inkar hona chahiye Ye tamasha ab sar-e-bazar hona chahiye KHwab ki tabir par israr hai jin ko abhi Pahle un ko KHwab se bedar hona chahiye Dub kar marna bhi uslub-e-mohabbat ho to ho Wo jo dariya hai to us ko par hona chahiye Ab wahi karne lage didar se aage ki baat Jo kabhi kahte the bas didar hona chahiye Baat puri hai adhuri chahiye ai jaan-e-jaan Kaam aasan hai ise dushwar hona chahiye Dosti ke nam par kije na kyunkar dushmani Kuchh na Kuch aaKHir tariq-e-kar hona chahiye JhuT bola hai to qaem bhi raho us par 'zafar' Aadmi ko sahab-e-kirdar hona chahiye