khidkiyaan kis tarah ki hain aur dar kaisaa hai wo
— Zafar Iqbal
KhiDkiyaan kis tarah kee hain aur dar kaisaa hai wo
Sochtaa hoon jis men wo rahtaa hai ghar kaisaa hai wo
Kaisee wo aab-o-havaa hai jis men wo letaa hai saans
Aataa jaataa hai wo jis par rahguzar kaisaa hai wo
Kaun see rangat ke hain us ke zameen-o-aasmaan
Chhaanv hai jis kee yahaan tak bhee shajar kaisaa hai wo
Ik nazar men hee nazar aa jaa.egaa wo sar-ba-sar
Phir bhee us ko dekhnaa baar-e-digar kaisaa hai wo
Main to us ke ek ik lamhe kaa rakhtaa hoon shumaar
Aur mere haal-e-dil se be-khabar kaisaa hai wo
Us kaa honaa hee bahut hai wo kaheen hai to sahee
Kyaa sarokaar is se hai mujh ko 'zafar' kaisaa hai wo
KhiDkiyan kis tarah ki hain aur dar kaisa hai wo
Sochta hun jis mein wo rehta hai ghar kaisa hai wo
Kaisi wo aab-o-hawa hai jis mein wo leta hai sans
Aata jata hai wo jis par rahguzar kaisa hai wo
Kaun si rangat ke hain us ke zamin-o-asman
Chhanw hai jis ki yahan tak bhi shajar kaisa hai wo
Ek nazar mein hi nazar aa jaega wo sar-ba-sar
Phir bhi us ko dekhna bar-e-digar kaisa hai wo
Main to us ke ek ek lamhe ka rakhta hun shumar
Aur mere haal-e-dil se be-KHabar kaisa hai wo
Us ka hona hi bahut hai wo kahin hai to sahi
Kya sarokar is se hai mujh ko 'zafar' kaisa hai wo