khush bahut phirte hain wo ghar men tamaashaa kar ke
— Zafar Iqbal
Khush bahut phirte hain wo ghar men tamaashaa kar ke
Kaam niklaa to hai un kaa mujhe rusvaa kar ke
Rok rakhnaa tha abhee aur ye awaaz kaa ras
Bech lenaa tha ye sauda zaraa mahngaa kar ke
Is taraf kaam hamaaraa to nahin hai koi
Aa nikalte hain kisee shaam tumhaaraa kar ke
MiT ga.ee hai koi muDtee huee see mauj-e-havaa
Chhup gaya hai koi taaraa saa ishaaraa kar ke
Farq itnaa na sahee ishq o havas men lekin
Main to mar jaaon tiraa rang bhee mailaa kar ke
Saaf-o-shaffaaf thee paanee kee tarah neeyat dil
Dekhne vaalon ne dekhaa ise gadlaa kar ke
Shauq se keejiye aur der na farmaa.iyegaa
Kuchh agar aap ko mil jaa.egaa aisa kar ke
Yuun bhee sajtee hai badan par ye mohabbat kya kya
Kabhee pahnoon isee malboos ko ulTaa kar ke
Mujh se chhuDvaa.e mire saare usuul us ne 'zafar'
Kitnaa chaalaak tha maaraa mujhe tanhaa kar ke
KHush bahut phirte hain wo ghar mein tamasha kar ke
Kaam nikla to hai un ka mujhe ruswa kar ke
Rok rakhna tha abhi aur ye aawaz ka ras
Bech lena tha ye sauda zara mahnga kar ke
Is taraf kaam hamara to nahin hai koi
Aa nikalte hain kisi sham tumhaara kar ke
MiT gai hai koi muDti hui si mauj-e-hawa
Chhup gaya hai koi tara sa ishaara kar ke
Farq itna na sahi ishq o hawas mein lekin
Main to mar jaun tera rang bhi maila kar ke
Saf-o-shaffaf thi pani ki tarah niyat dil
Dekhne walon ne dekha ise gadla kar ke
Shauq se kijiye aur der na farmaiyega
Kuchh agar aap ko mil jaega aisa kar ke
Yun bhi sajti hai badan par ye mohabbat kya kya
Kabhi pahnun isi malbus ko ulTa kar ke
Mujh se chhuDwae mere sare usul us ne 'zafar'
Kitna chaalak tha mara mujhe tanha kar ke