khushii milii to ye aalam thaa bad havaasii kaa
— Zafar Iqbal
Khushee milee to ye aalam thaa bad-havaasee kaa
Ki dhyaan hee na raha gham kee be-libaasee kaa
Chamak uThe hain jo dil ke kalas yahaan se abhee
Guzar huaa hai khayaalon kee dev-daasee kaa
Guzar na jaa yoonhee rukh pher kar salaam to le
Hamen to der se daavaa hai roo-shanaasee kaa
Khudaa ko maan ki tujh lab ke choomne ke sivaa
Koee ilaaj nahin aaj kee udaasee kaa
Gire paDe hue patton men shahr DhoonDtaa hai
Ajiib taur hai is jangalon ke baasee kaa
KHushi mili to ye aalam tha bad-hawasi ka
Ki dhyan hi na raha gham ki be-libasi ka
Chamak uThe hain jo dil ke kalas yahan se abhi
Guzar hua hai KHayalon ki dew-dasi ka
Guzar na ja yunhi ruKH pher kar salam to le
Hamein to der se dawa hai ru-shanasi ka
KHuda ko man ki tujh lab ke chumne ke siwa
Koi ilaj nahin aaj ki udasi ka
Gire paDe hue patton mein shahr DhunDta hai
Ajib taur hai is jangalon ke basi ka