lahr ki tarah kinaare se uchhal jaanaa hai
— Zafar Iqbal
Lahr kee tarah kinaare se uchhal jaanaa hai
Dekhte dekhte haathon se nikal jaanaa hai
Dopahar wo hai ki hotee nazar aatee hee nahin
Din hamaaraa to bahut pahle hee Dhal jaanaa hai
Jee hamaaraa bhee yahaan ab nahin lagtaa itnaa
Aaj agar rok liye jaa.en to kal jaanaa hai
Dil men khiltaa huaa ik aakhiree khwaish kaa ye phuul
Jaate jaate ise khud main ne masal jaanaa hai
Jo yahaan khud hee lagaa rakkhee hai chaaron jaanib
Ek din ham ne isee aag men jal jaanaa hai
Chaltee ruktee huee ye husn bhee hai ek havaa
Mausam-e-ishq bhee ik roz badal jaanaa hai
Jaise ghuTTee men koi khauf paDaa ho is kee
Baat-be-baat hee is dil ne dahal jaanaa hai
Aur to honee hai kya apnee vasoolee us se
Munh pe kaalak ye mulaaqaat kee mal jaanaa hai
Main bhee Kuch der se baiThaa hoon nishaane pe 'zafar'
Aur wo khenchaa huaa tiir bhee chal jaanaa hai
Lahr ki tarah kinare se uchhal jaana hai
Dekhte dekhte hathon se nikal jaana hai
Dopahar wo hai ki hoti nazar aati hi nahin
Din hamara to bahut pahle hi Dhal jaana hai
Ji hamara bhi yahan ab nahin lagta itna
Aaj agar rok liye jaen to kal jaana hai
Dil mein khilta hua ek aaKHiri KHwahish ka ye phul
Jate jate ise KHud main ne masal jaana hai
Jo yahan KHud hi laga rakkhi hai chaaron jaanib
Ek din hum ne isi aag mein jal jaana hai
Chalti rukti hui ye husn bhi hai ek hawa
Mausam-e-ishq bhi ek roz badal jaana hai
Jaise ghuTTi mein koi KHauf paDa ho is ki
Baat-be-baat hi is dil ne dahal jaana hai
Aur to honi hai kya apni wasuli us se
Munh pe kalak ye mulaqat ki mal jaana hai
Main bhi Kuch der se baiTha hun nishane pe 'zafar'
Aur wo khencha hua tir bhi chal jaana hai