main ne kab daavaa kiyaa thaa sar ba sar baaqii hoon main
— Zafar Iqbal
Main ne kab daa'vaa kiyaa thaa sar-ba-sar baaqee hoon main
Pesh-e-khidmat hoon tumhaare jis qadar baaqee hoon main
Main bahut saa jaise zaa.e' ho chukaa hoon jaa-ba-jaa
Haath se mahsoos kartaa hoon kidhar baaqee hoon main
DhoonDte hain ab jahaan meraa nishaan tak bhee nahin
Us taraf bhee dekh lenaa thaa jidhar baaqee hoon main
Meree tafseelaat men jaane kaa mauqa' ab kahaan
Ab to aasaan hai samajhnaa mukhtasar baaqee hoon main
Din chaDhe honaa na honaa ek saa rah jaa.egaa
Ye bhee kya kam hai ki ab se raat bhar baaqee hoon main
Kharch sara ho chukaa hoon aur Dunya men kaheen
Kuchh agar hoon bhee to khud se be-khabar baaqee hoon main
Main kisee kaam aa bhee saktaa hoon agar samjhe koi
Aaj bhee khas-khaana-e-dil men sharar baaqee hoon main
Main agar baaqee nahin hoon to bhee hai kis ko gharaz
Aur hai parvaa yahaan kis ko agar baaqee hoon main
Kuchh bhee ho be-sood hai mujh se safar karnaa 'zafar'
Jo kaheen jaatee nahin wo rah-guzar baaqee hoon main
Main ne kab da'wa kiya tha sar-ba-sar baqi hun main
Pesh-e-KHidmat hun tumhaare jis qadar baqi hun main
Main bahut sa jaise zae' ho chuka hun ja-ba-ja
Hath se mahsus karta hun kidhar baqi hun main
DhunDte hain ab jahan mera nishan tak bhi nahin
Us taraf bhi dekh lena tha jidhar baqi hun main
Meri tafsilat mein jaane ka mauqa' ab kahan
Ab to aasan hai samajhna muKHtasar baqi hun main
Din chaDhe hona na hona ek sa rah jaega
Ye bhi kya kam hai ki ab se raat bhar baqi hun main
KHarch sara ho chuka hun aur duniya mein kahin
Kuchh agar hun bhi to KHud se be-KHabar baqi hun main
Main kisi kaam aa bhi sakta hun agar samjhe koi
Aaj bhi KHas-KHana-e-dil mein sharar baqi hun main
Main agar baqi nahin hun to bhi hai kis ko gharaz
Aur hai parwa yahan kis ko agar baqi hun main
Kuchh bhi ho be-sud hai mujh se safar karna 'zafar'
Jo kahin jati nahin wo rah-guzar baqi hun main