na koi baat kahnii hai na koi kaam karnaa hai
— Zafar Iqbal
Na koi baat kahnee hai na koi kaam karnaa hai
Aur us ke baad kaafee der tak aaraam karnaa hai
Is aaghaaz-e-mohabbat hee men puure ho ga.e ham to
Ise ab aur kya sharminda-e-anjaam karnaa hai
Bahut be-sood hai lekin abhee Kuch aur din mujh ko
Savaad-e-sub.h men rah kar shumaar-e-shaam karnaa hai
Nishaan denaa hai main ne Kuch ghubaar-aalood samton kaa
Koee kaafee puraanaa raaz tasht-az-baam karnaa hai
Badee ke taur par karnee hai nekee bhee mohabbat men
Ki jo bhee kaam karnaa hai wo be-hangaam karnaa hai
Abhee to kaar-e-khair itnaa paDaa hai saamne mere
Abhee to main ne har khaas aadmee ko aam karnaa hai
Koee badla chukaanaa hai wafa ke naam par us se
Masaafat ke liye uThnaa hai aur bisraam karnaa hai
Kamaa.ee umr bhar kee hai yahee ik jaa.idaad apnee
So ye khvaab-e-tamaashaa ab kisee ke naam karnaa hai
Ik aaghaaz-e-safar hai ai 'zafar' ye pukhta-kaaree bhee
Abhee to main ne apnee pukhtagee ko khaam karnaa hai
Na koi baat kahni hai na koi kaam karna hai
Aur us ke baad kafi der tak aaram karna hai
Is aaghaz-e-mohabbat hi mein pure ho gae hum to
Ise ab aur kya sharminda-e-anjam karna hai
Bahut be-sud hai lekin abhi Kuch aur din mujh ko
Sawad-e-subh mein rah kar shumar-e-sham karna hai
Nishan dena hai main ne Kuch ghubar-alud samton ka
Koi kafi purana raaz tasht-az-baam karna hai
Badi ke taur par karni hai neki bhi mohabbat mein
Ki jo bhi kaam karna hai wo be-hangam karna hai
Abhi to kar-e-KHair itna paDa hai samne mere
Abhi to main ne har KHas aadmi ko aam karna hai
Koi badla chukana hai wafa ke nam par us se
Masafat ke liye uThna hai aur bisram karna hai
Kamai umr bhar ki hai yahi ek jaidad apni
So ye KHwab-e-tamasha ab kisi ke nam karna hai
Ek aaghaz-e-safar hai ai 'zafar' ye puKHta-kari bhi
Abhi to main ne apni puKHtagi ko KHam karna hai