na us ko bhuul paae hain na ham ne yaad rakkhaa hai
— Zafar Iqbal
Na us ko bhuul paa.e hain na ham ne yaad rakkhaa hai
Dil-e-barbaad ko is tarh se aabaad rakkhaa hai
Jhamele aur bhee suljhaane vaale hain ka.ee pahle
Aur us ke vasl kee khwaish ko sab se baad rakkhaa hai
Rukaa rahtaa hai chaaron samt ashk o aah kaa mausam
Ravaan har lahza kaarobaar-e-abr-o-baad rakkhaa hai
Phir is kee kaamyaabee kaa koi imkaan hee kya ho
Agar us shokh par daa'vaa hee be-buniyaad rakkhaa hai
Khizaan ke khushk patte jis men din-bhar khaDkhaDaate hain
Isee mausam kaa naam ab ke bahaar-eejaad rakkhaa hai
Ye kya kam hai ki ham hain to sahee fehrist men us kee
Bhale naa-shaad rakkhaa hai ki ham ko shaad rakkhaa hai
Jise lafz-e-mohabbat ke ma'aanee tak nahin aate
Use apne liye ham ne yahaan ustaad rakkhaa hai
Javaab apne ko chaahe jo bhee wo malboos pahnaa.e
Savaal is dil ne us ke aage maadar-zaad rakkhaa hai
'zafar' itnaa hee kaafee hai jo wo raazee rahe ham par
Kamar apnee pe koi bojh ham ne laad rakkhaa hai
Na us ko bhul pae hain na hum ne yaad rakkha hai
Dil-e-barbaad ko is tarh se aabaad rakkha hai
Jhamele aur bhi suljhane wale hain kai pahle
Aur us ke wasl ki KHwahish ko sab se baad rakkha hai
Ruka rehta hai chaaron samt ashk o aah ka mausam
Rawan har lahza karobar-e-abr-o-baad rakkha hai
Phir is ki kaamyabi ka koi imkan hi kya ho
Agar us shoKH par da'wa hi be-buniyaad rakkha hai
KHizan ke KHushk patte jis mein din-bhar khaDkhaDate hain
Isi mausam ka nam ab ke bahaar-ijad rakkha hai
Ye kya kam hai ki hum hain to sahi fehrist mein us ki
Bhale na-shad rakkha hai ki hum ko shad rakkha hai
Jise lafz-e-mohabbat ke ma'ani tak nahin aate
Use apne liye hum ne yahan ustad rakkha hai
Jawab apne ko chahe jo bhi wo malbus pahnae
Sawal is dil ne us ke aage madar-zad rakkha hai
'zafar' itna hi kafi hai jo wo raazi rahe hum par
Kamar apni pe koi bojh hum ne lad rakkha hai