rukh e zebaa idhar nahin kartaa
— Zafar Iqbal
Rukh-e-zebaa idhar nahin kartaa
Chaahtaa hai magar nahin kartaa
Sochtaa hai magar samajhtaa nahin
Dekhtaa hai nazar nahin kartaa
Band hai us kaa dar agar mujh par
Kyuun mujhe dar-ba-dar nahin kartaa
Harf-e-inkaar aur itnaa taveel
Baat ko mukhtasar nahin kartaa
Na kare shahr men wo hai to sahee
Mehrbaanee agar nahin kartaa
Husn us kaa usee maqaam pe hai
Ye musaafir safar nahin kartaa
Jaa ke samjhaa.en kya use ki 'zafar'
Too bhee to darguzar nahin kartaa
RuKH-e-zeba idhar nahin karta
Chahta hai magar nahin karta
Sochta hai magar samajhta nahin
Dekhta hai nazar nahin karta
Band hai us ka dar agar mujh par
Kyun mujhe dar-ba-dar nahin karta
Harf-e-inkar aur itna tawil
Baat ko muKHtasar nahin karta
Na kare shahr mein wo hai to sahi
Mehrbani agar nahin karta
Husn us ka usi maqam pe hai
Ye musafir safar nahin karta
Ja ke samjhaen kya use ki 'zafar'
Tu bhi to darguzar nahin karta