simatne ki havas kya thii bikharnaa kis liye hai

Zafar Iqbal

SimaTne kee havas kya thee bikharnaa kis liye hai Vo jiinaa kis kee khaatir thaa ye marnaa kis liye hai Mohabbat bhee hai aur apna taqaazaa bhee nahin Kuch Ham us se saaf kah denge mukarnaa kis liye hai Jhijhaknaa hai to us ke saamne honaa hee kaisaa Jo Darnaa hai to Dariya men utarnaa kis liye hai Masaafat khvaab hai to khvaab men ab jaagnaa kya Agar chal hee paDe hain to Thaharnaa kis liye hai Na karne se bhee hota ho jahaan sab kaa guzaara Vahaan aakhir kisee ne kaam karnaa kis liye hai Agar ruknaa nahin us ne hamaare paas to phir Hamaare raaste par se guzarnaa kis liye hai Vo kah degaa to uTh jaa.enge us kee bazm se ham Munaasib hee nahin lagtaa pasarnaa kis liye hai 'zafar' us par asar to koi hota hai na hogaa To phir ye roz kaa bannaa sanvarnaa kis liye hai SimaTne ki hawas kya thi bikharna kis liye hai Wo jina kis ki KHatir tha ye marna kis liye hai Mohabbat bhi hai aur apna taqaza bhi nahin Kuch Hum us se saf kah denge mukarna kis liye hai Jhijhakna hai to us ke samne hona hi kaisa Jo Darna hai to dariya mein utarna kis liye hai Masafat KHwab hai to KHwab mein ab jagna kya Agar chal hi paDe hain to Thaharna kis liye hai Na karne se bhi hota ho jahan sab ka guzara Wahan aaKHir kisi ne kaam karna kis liye hai Agar rukna nahin us ne hamare pas to phir Hamare raste par se guzarna kis liye hai Wo kah dega to uTh jaenge us ki bazm se hum Munasib hi nahin lagta pasarna kis liye hai 'zafar' us par asar to koi hota hai na hoga To phir ye roz ka banna sanwarna kis liye hai