yahaan kisi ko bhi Kuch hasb e aarzoo na milaa
— Zafar Iqbal
Yahaan kisee ko bhee Kuch hasb-e-aarzoo na milaa
Kisee ko ham na mile aur ham ko too na milaa
Ghazaal-e-ashk sar-e-sub.h doob-e-mizhgaan par
Kab aankh apnee khulee aur lahoo lahoo na milaa
Chamakte chaand bhee the shahr-e-shab ke aivaan men
Nigaar-e-gham saa magar koi sham.a-roo na milaa
Unhee kee ramz chalee hai galee galee men yahaan
Jinhen udhar se kabhi izn-e-guftugoo na milaa
Phir aaj mai-kada-e-dil se lauT aa.e hain
Phir aaj ham ko Thikaane kaa ham-saboo na milaa
Yahan kisi ko bhi Kuch hasb-e-arzu na mila
Kisi ko hum na mile aur hum ko tu na mila
Ghazal-e-ashk sar-e-subh dub-e-mizhgan par
Kab aankh apni khuli aur lahu lahu na mila
Chamakte chand bhi the shahr-e-shab ke aiwan mein
Nigar-e-gham sa magar koi shama-ru na mila
Unhi ki ramz chali hai gali gali mein yahan
Jinhen udhar se kabhi izn-e-guftugu na mila
Phir aaj mai-kada-e-dil se lauT aae hain
Phir aaj hum ko Thikane ka ham-sabu na mila