ye baat alag hai miraa qaatil bhi vahii thaa
— Zafar Iqbal
Ye baat alag hai miraa qaatil bhee vahee thaa
Is shahr men taareef ke qaabil bhee vahee thaa
Aasaan thaa bahut us ke liye harf-e-muravvat
Aur marhala apne liye mushkil bhee vahee thaa
Taabeer thee apnee bhee vahee khvaab-e-safar kee
Afsaana-e-mahroomi-e-manzil bhee vahee thaa
Ik haath men talvaar thee ik haath men kashkol
Zaalim to wo thaa hee miraa saa.il bhee vahee thaa
Ham aap ke apne hain wo kahtaa raha mujh se
Aakhir saf-e-aghyaar men shaamil bhee vahee thaa
Main lauT ke aayaa to gulistaan-e-havas men
Thaa gul bhee vahee shor-e-anaadil bhee vahee thaa
Daave the 'zafar' us ko bahut baa-khabaree ke
Dekhaa to mire haal se ghaafil bhee vahee thaa
Ye baat alag hai mera qatil bhi wahi tha
Is shahr mein tarif ke qabil bhi wahi tha
Aasan tha bahut us ke liye harf-e-murawwat
Aur marhala apne liye mushkil bhi wahi tha
Tabir thi apni bhi wahi KHwab-e-safar ki
Afsana-e-mahrumi-e-manzil bhi wahi tha
Ek hath mein talwar thi ek hath mein kashkol
Zalim to wo tha hi mera sail bhi wahi tha
Hum aap ke apne hain wo kahta raha mujh se
AaKHir saf-e-aghyar mein shamil bhi wahi tha
Main lauT ke aaya to gulistan-e-hawas mein
Tha gul bhi wahi shor-e-anadil bhi wahi tha
Dawe the 'zafar' us ko bahut ba-KHabari ke
Dekha to mere haal se ghafil bhi wahi tha