ye bhi mumkin hai ki aankhen hon tamaashaa hi na ho
— Zafar Iqbal
Ye bhee mumkin hai ki aankhen hon tamaashaa hee na ho
Raas aane lage ham ko to ye Dunya hee na ho
Kaheen nikle koi andaaza hamaaraa bhee ghalat
Jaante hain use jaisaa kaheen vaisaa hee na ho
Ho kisee tarha se makhsoos hamaare hee liye
Yaanee jitnaa nazar aataa hai wo utnaa hee na ho
TakTakee baandh ke main dekh raha hoon jis ko
Ye bhee ho saktaa hai wo saamne baiThaa hee na ho
Vo koi aur ho jo saath kisee aur ke hai
Asl men to wo abhee lauT ke aayaa hee na ho
Khvaab-dar-khvaab chalaa kartaa hai aankhon men jo shakhs
DhoonDne niklen use aur kaheen rahtaa hee na ho
Chamak uTThaa ho abhee roo-e-bayaabaan ik dam
Aur ye nazzaara kisee aur ne dekhaa hee na ho
Kaifiyat hee koi paanee ne badal lee ho kaheen
Ham jise dasht samajhte hain wo Dariya hee na ho
Mas.ala itnaa bhee aasaan nahin hai ki 'zafar'
Apne nazdeek jo seedhaa hai wo ulTaa hee na ho
Ye bhi mumkin hai ki aankhen hon tamasha hi na ho
Ras aane lage hum ko to ye duniya hi na ho
Kahin nikle koi andaza hamara bhi ghalat
Jaante hain use jaisa kahin waisa hi na ho
Ho kisi tarha se maKHsus hamare hi liye
Yani jitna nazar aata hai wo utna hi na ho
TakTaki bandh ke main dekh raha hun jis ko
Ye bhi ho sakta hai wo samne baiTha hi na ho
Wo koi aur ho jo sath kisi aur ke hai
Asl mein to wo abhi lauT ke aaya hi na ho
KHwab-dar-KHwab chala karta hai aankhon mein jo shaKHs
DhunDne niklen use aur kahin rehta hi na ho
Chamak uTTha ho abhi ru-e-bayaban ek dam
Aur ye nazzara kisi aur ne dekha hi na ho
Kaifiyat hi koi pani ne badal li ho kahin
Hum jise dasht samajhte hain wo dariya hi na ho
Masala itna bhi aasan nahin hai ki 'zafar'
Apne nazdik jo sidha hai wo ulTa hi na ho