yuun to kis chiiz ki kamii hai

Zafar Iqbal

Yuun to kis chiiz kee kamee hai Har shai lekin bikhar ga.ee hai Dariyaa hai rukaa huaa hamaaraa Sahraa men ret bah rahi hai Kyaa naqsh banaa.iye ki ghar men Deevaar kabhi nahin kabhi hai Khvaahish kaa hisaab bhee lagaa.oon LaDkee to bahut napee tulee hai Dil tang hai paas baiThne se UThnaa chaahoon to roktee hai Hotee jaatee hai meree tashkeel Juun juun mujh men wo TooTtee hai Tasveer-e-khizaan lahoo men ab ke Piilee piilee haree haree hai Baahar se chaTaan kee tarah hoon Andar kee fazaa men thartharee hai Pairav nahin ek bhee 'zafar' kaa Kis maz.hab-e-sakht kaa nabee hai Yun to kis chiz ki kami hai Har shai lekin bikhar gai hai Dariya hai ruka hua hamara Sahra mein ret bah rahi hai Kya naqsh banaiye ki ghar mein Diwar kabhi nahin kabhi hai KHwahish ka hisab bhi lagaun LaDki to bahut napi tuli hai Dil tang hai pas baiThne se UThna chahun to rokti hai Hoti jati hai meri tashkil Jun jun mujh mein wo TuTti hai Taswir-e-KHizan lahu mein ab ke Pili pili hari hari hai Bahar se chaTan ki tarah hun Andar ki faza mein tharthari hai Pairaw nahin ek bhi 'zafar' ka Kis mazhab-e-saKHt ka nabi hai