gubaar dil se nikaalaa nazar ko saaf kiyaa
— Zeeshan Sahil
Ghubaar dil se nikaalaa nazar ko saaf kiyaa
Phir us ke ba.ad mohabbat kaa e'tiraaf kiyaa
Jo vo naheen thaa to main muttafiq thaa logon se
Vo mere saamne aayaa to ikhtilaaf kiyaa
Har ek jurm kee paataa rahaa sazaa lekin
Har ek jurm zamaane kaa main ne maaf kiyaa
Vo shab guzaarne aa.egaa mere kooche men
Havaa-e-shaam ne dheere se inkishaaf kiyaa
Is anjuman men main aayaa thaa jin kee marzee se
Unhen tumhaaree nazar se mire khilaaf kiyaa