jo mere bas men hai us se ziyaada kyaa karnaa
— Zeeshan Sahil
Jo mere bas men hai us se ziyaada kyaa karnaa
Safar to karnaa hai us kaa iraada kyaa karnaa
Bas ek rang hai dil men kisee ke hone se
Ab apne-aap ko is se bhee saada kyaa karnaa
Jab apnee aag hee kaafee hai mere jiine ko
To mahr o maah se bhee istifaada kyaa karnaa
Tire labon ke sivaa kuchh naheen mayassar jab
So fikr-e-saaghar-o-saaqee-o-baada kyaa karnaa
Tamaam kashtiyaan saahil pe hain abhee Thahree
Abhee se in ko jalaane kaa va.ada kyaa karnaa