kis qadar mahduud kar detaa hai gam insaan ko
— Zeeshan Sahil
Kis qadar mahdood kar detaa hai gham insaan ko
Khatm kar detaa hai har ummeed har imkaan ko
Giit gaataa bhee naheen ghar ko sajaataa bhee naheen
Aur badaltaa bhee naheen vo saaz ko saamaan ko
Itne barson kee riyaazat se jo qaa.em ho sakaa
Aap se khatra bahut hai mere is eemaan ko
Koee ruktaa hee naheen is kee tasallee ke liye
Dekhtaa rahtaa hai dil har ajnabee mehmaan ko
Ab to ye shaayad kisee bhee kaam aa saktaa naheen
Aap hee le jaa.iye mere dil-e-naadaan ko
Shahr vaalon ko to jaise kuchh pataa chaltaa naheen
Roktaa rahtaa hai saahil roz-o-shab toofaan ko