yaad karne ke zamaane se bahut aage hain

Zeeshan Sahil

Yaad karne ke zamaane se bahut aage hain Aaj ham apne Thikaane se bahut aage hain Koee aa ke hamen DhoonDegaa to kho jaa.egaa Ham na.e gham men puraane se bahut aage hain Jism baaqee hai magar jaan ko miTaane vaale Ruuh men zakhm nishaane se bahut aage hain Is qadar khush hain ki ham khvaab-e-faraamoshee men Jaag jaane ke bahaane se bahut aage hain Jo hamen paa ke bhee khone se bahut peechhe thaa Ham use kho ke bhee paane se bahut aage hain