aag chuulhe kii bujhii jaatii hai
— Akhtar Hoshiyarpuri
Aag choolhe kee bujhee jaatee hai
Chaandnee hai ki khilee jaatee hai
Jis qadar neeche utartaa huun main
Jhiil bhee gahree huee jaatee hai
Gard uThee hai jo miree Thokar se
Ek deevaar banee jaatee hai
Pahre honTon pe biThaane vaale
Baat aankhon se bhee kee jaatee hai
Log saahil pe khaDe dekhte hain
Naav kaaghaz kee bahee jaatee hai