kise khabar jab main shahr e jaan se guzar rahaa thaa

Akhtar Hoshiyarpuri

Kise khabar jab main shahr-e-jaan se guzar rahaa thaa Zameen thee pahloo men sooraj ik kos par rahaa thaa Havaa men khushbuen meree pahchaan ban ga.ee thiin Main apnee miTTee se phuul ban kar ubhar rahaa thaa Ajiib sargoshiyon kaa aalam thaa anjuman men Main sun rahaa thaa zamaana tanqeed kar rahaa thaa Wo kaisee chhat thee jo mujh ko aavaaz de rahee thee Wo kya nagar thaa jahaan main chup-chaap utar rahaa thaa Main dekhtaa thaa ki ungliyon men diye kee lau hai Main jaagtaa thaa ki rang khvaabon men bhar rahaa thaa Ye baat alag hai ki main ne jhaankaa nahin galee men Ye sach hai koi sadaa.en detaa guzar rahaa thaa Ye chand be-harf-o-saut khaake miraa asaasa Main jin ko ghazlon kaa naam de kar sanvar rahaa thaa Zamaana shabnam ke bhes men aayaa aur duaa dee Main zard-rut men jab apnee baahon men mar rahaa thaa Mujhe kisee se naqab-zanee kaa khatar nahin thaa Main 'akhtar' apne hee jasad-e-khaakee se Dar rahaa thaa