kuchh naqsh huvaidaa hain khayaalon kii dagar se

Akhtar Hoshiyarpuri

Kuchh naqsh huvaidaa hain khayaalon kee Dagar se Shaayad kabhi guzraa huun main is raah-guzar se Galiyaan bhee hain sunsaan dareeche bhee hain khaamosh Qadmon kee ye aavaaz dar aa.ee hai kidhar se Taaqon men charaaghon kaa dhuaan jam saa gaya hai Ab ham bhee nikalte nahin ujDe hue ghar se Kyuun kaaghzee phoolon se sajaataa nahin ghar ko Is daur ko shikva hai mire zauq-e-hunar se Saa.e kee tarah koi ta.aaqub men ravaan hai Ab bach ke kahaan jaa.enge ik sho.abda-gar se 'akhtar' ye ghane abr baDe tang-nazar hain UTThe hain jo dariyaa se to dariyaa pe hee barse