main harf dekhuun ki raushnii kaa nisaab dekhuun

Akhtar Hoshiyarpuri

Main harf dekhoon ki raushnee kaa nisaab dekhoon Magar ye aalam ki Tahniyon par gulaab dekhoon Puraane khvaabon se reza reza badan huaa hai Ye chaahtaa huun ki ab nayaa koi khvaab dekhoon Ye raaste to miree hathelee ke tarjumaan hain Main in lakeeron men zindagee kee kitaab dekhoon Muraaja.at kaa safar to mumkin nahin rahaa hai Main chaltaa jaa.oon ki mausamon kaa azaab dekhoon Main apnee tasveer dekh kar mutma.in kahaan huun Wo din bhee aa.e lahoo ko jab kaamyaab dekhoon