ufuq ufuq nae suuraj nikalte rahte hain

— Akhtar Hoshiyarpuri

Ufuq ufuq na.e sooraj nikalte rahte hain Diye jalen na jalen daagh jalte rahte hain Miree galee ke makeen ye mire rafeeq-e-safar Ye log wo hain jo chehre badalte rahte hain Zamaane ko to hamesha safar men rahnaa hai Jo qaafile na chalen raste chalte rahte hain Hazaar sang-e-giraan ho hazaar jabr-e-zamaan Magar hayaat ke chashme ubalte rahte hain Ye aur baat ki ham men hee sabr-o-zabt nahin Ye aur baat ki lamhaat Talte rahte hain Ye vaqt-e-shaam hai yaa rab dil o nazar kee ho khair Ki is samay men to saa.e bhee Dhalte rahte hain Kabhi wo din the zamaane se aashnaa.ee thee Aur aa.eene se ab 'akhtar' bahalte rahte hain