wo zindagii hai us ko khafaa kya kare koii
— Akhtar Hoshiyarpuri
Wo zindagee hai us ko khafaa kya kare koi
Paanee ko saahilon se judaa kya kare koi
Baarish kaa pahlaa qatra hee bastee Dubo gaya
Ab apnee jaan kaa qarz adaa kya kare koi
Jab gard uD rahee ho hareem-e-khayaal men
Aa.eena dekhne ke sivaa kya gire koi
Wo kya ga.e ki shahr hee veeraan ho gaya
Ab jangalon men rah ke sadaa kya kare koi
Apne badan kee aag se sham.en jalaa.iye
Kachche gharon men jashn-e-hinaa kya kare koi
Zahraab-e-zindagee to ragon men utar gaya
Ab ai gham-e-firaaq bataa kya kare koi
MiTTee se kheltaa huaa rizq-e-havaa huaa
'akhtar' ab aur sharh-e-wafa kya kare koi