yak ba yak mausam kii tabdiilii qayaamat dhaa gaii

Akhtar Hoshiyarpuri

Yak-ba-yak mausam kee tabdeelee qayaamat Dhaa ga.ee Ruk ke sustaanaa thaa jab mujh ko kaDee dhoop aa ga.ee Din Dhale kis ko hai tajdeed-e-safar kaa hausla Aatee jaatee rahguzar naahaq mujhe bahkaa ga.ee Boo-e-gul mauj-e-havaa hai aur havaa kyoonkar ruke Ab ke miTTee hee kee khushboo meraa ghar mahkaa ga.ee Wo havaa.en hain uDe jaate hain pairaahan yahaan Ai uroos-e-zeest too kyuun ghar se baahar aa ga.ee Ye havaa aa.ee kahaan se is se main vaaqif na thaa Mere ghar men jo charaaghon kaa dhuaan phailaa ga.ee Wo ghaTaa phir is taraf se lauT kar guzree nahin Sookhee dhartee ko jo dariyaa kaa pata batlaa ga.ee Zindagee marg-e-talab tark-e-talab 'akhtar' na thee Phir bhee apne taane-baane men mujhe uljhaa ga.ee